Sunday, October 16, 2011

soch

dhalta suraj thandi hava,
guzra kal khamosh sama,
na mai hun na ho tum wahan,
bas us pal mein thehra yeh jahan.
soch se door manzil se pare,
na jism hai waha na hai fareb.
na daud na haar jeet hai koi,
na intezaar na dard hai kahin.
door nahi hai yeh jagah.
kabhi tez raftaar zindagi se ruk kar dekho,
in badi imaaraton se jhuk kar dekho,
tum mein ek aisa jahan,
na aas na pyaas hai jahan.

No comments:

Post a Comment